Paytm account delete kaise kare ? Dosto humne apne pichle post mein jana tha ki paytm account kaise banaye uske baad yeh bhi jana tha ki paytm se paise kaise kamaye lekin aaj jo hum iss post mein janane wale hai woh yeh ki paytm account delete kaise kare. Bahut se log apna paytm account delete karna chahte hai lekin unhe iska tarika pata nahi hota so friends aaj hum apne iss post mein aap sabhi ko paytm account delete karne ka tarika batane wale hai main ummeed karta hu aap sabhi ko jarur pasand aayega. Iss post ko likhne se pehle hi main aapko apne pichle post mein paytm ki puri jankari de chuka hu agar aapne woh nahi padhga toh please usey jarur padhe
Dosto pehli baat toh yeh ki paytm aapko apna account delete karne ki kabhi permission nahi deta mujhe pata nahi aisa kyu hai lekin jaha tak meri soch hai uss hisab se shayad paytm humein apna account delete karne ka control isliye nahi deta kyuki aapne bahut baar dekha hoga paytm ke kuch dhamakedaar offers sirf new users ke liye hi hote hai agar paytm humein apna paytm account delete karne ki permission de deta hai toh bahut se log apne same account ko renew karke uss offer ka galat istemal karenge so mere hisab se yahi wajah hai ki aapko apne paytm profile mein kabhi account delete karne ka option show nahi hota
Agar aapke paas koi valid reason hai jis wajah se aap apna paytm account delete karna chahte ho toh aap aisa kar sakte ho aur aisa karne ke liye paytm bhi aapko nahi rok sakta. Paytm account delete karne ke liye aapko seedha paytm coustmer care se contact karna hota hai jiska tarika main aaj aapko iss post mein batane wala hu so friends chaliye jante hai paytm account delete kaise kare
Yaad rahe paytm account delete karne ke liye aapke paas koi valid reason hona chahiye jaise ki mobile number ka kho jana warna paytm aapka account delete nahi kiya jayega. Jab ek baar aapka paytm account delete ho gaya uske baad aap same mobile number/email se dusra account nahi bana sakte. Yeh jo tarika main aapko batane wala hu woh aapko internet par kahi nahi milega aap chahe toh check kar sakte ho yeh tarika exclusive humare blog par share ki ja rahi hai
Paytm Account Delete Kaise Kare:
1) Sabse pehle aapko apne phone mein paytm app download karna hai. Paytm app download karne ke liye neeche diye gaye download button par click kare
2) Ab apna paytm account login kare. Aap kisi bhi paytm account se login kar sakte ho jaruri nahi ki usi paytm account se login karo jise aap delete karna chahte ho
3) Ab apne profile mein jaye waha par aapko help & support ka option dikhai dega uspe click kare
4) Next page par resolve an issue option show hoga uspe click kare
5) Ab next page par My Account option par click kare
6) Next page par aapko apna issue select karna hai. Apna account delete karne ke liye I have lost my phone/changed my mobile number option par click kare
7) Next page open hoga iss page par aapko I need to block my old account option par click karna hai
8) Ab Message us option par click kare jaise neeche screenshot mein dikhaya gaya hai
9) Aapko kuch boxes dikhai denge unhe aapko kuch iss tarah se fill karna hai jaise humne bataya hai
Issue Description: Iss box mein aapko uss account ke details likhne hai jise aap delete karna chahte ho sath mein aapko valid reason bhi dena hai ki kis wajah se aap apna account delete karna chahte ho. Aapko apne account detail mein registered mobile number, registered email address aur last three transactions jo aapne paytm se kiye the woh enter karne hai
Upload a Picture: Iss option ko aap khali chhod sakte ho
Email ID: Iss box mein apni email id enter kare
Submit: Message send karne ke liye submit button par click kare
10) Finally aapka message paytm tak pahuch jayega aur woh jald se jald aapka account delete kar denge. Yaad rahe account delete hone ke baad aap same mobile number/email adddress se dusra account nahi bana sakte
Final Words:
So friends aap iss tarike se apna paytm account delete kar sakte ho. Yeh tarika bahut hi easy hai aur isse aapka paytm account bhi jaldi se jaldi delete ho jata hai. Agar aap humare bataye huye sabhi steps ko acche se follow karte ho tabhi aapka paytm account delete ho sakta hai. Agar aapko humara post pasand aaya ho toh please isey share jarur kare
Deepak says
Bhai ussi number se banana h to Kiya kru
sudarsan panda says
Thanks for share a usefull post for paytm user…in future keep it more better.
suresh raj says
thanks hindi yaar for good knowledge delete my paytm account